Aaj dikhi nahi aankhein, na suni aawaz tumhari,
Na khauf mein kampa dil, na baat hui tumhari.
Dasht-e-paayan se guzarti hai raah-e-fanaa,
Darakhton par phooli nahi nawaazish tumhari.
Kyon hai raaz yeh qurbaat, oh mere musaalsal?
Na khile uns ke gulab, na padi ikhlaas ki Shabnam tumhari.
Humne Baais-e-tarq-e-t’alluq toh diye hazaaron,
Inaayaat fir bhi bhooli nahi tumhari.
Bees saal beete, shayad marasim soumy nahi,
Par shiddat se yaad roz aati hai tumhari.
No comments:
Post a Comment